॥ Chaupai ॥
Pratham hi guruko sheesh navaun,
Hari charanon mein dhyaan lagaun.
Geet sunaun adbhut yaar,
Dhaaran se ho beda paar.
Arjun kahai suno Bhagwana,
Apne roop bataye nana.
Unka main kachu bhed na jaana,
Kirpa kar phir kaho sujana.
Jo koi tumko nit dhyaave,
Bhakti bhaav se chitt lagaave.
Raat divas tumre gun gaave,
Tumse dooja man nahin bhaave.
Tumra naam jape din raat,
Aur kare nahin dooji baat.
Dooja nirakar ko dhyaave,
Akshar alakh anaadi bataave.
Dono dhyaan lagaane wala,
Unmein kaun uttam Nandlala.
Arjun se bole Bhagwan,
Sun pyaare kachu dekar dhyaan.
Mera naam japai japavaave,
Netron mein premashru chhaave.
Mujh bin aur kachu nahin chaave,
Raat divas mera gun gaave.
Sunkar mera naamochchaar,
Uthai rom tan baarambaar.
Jinka kshan tootai nahin taar,
Unki shraddha atal apaar.
Mujh mein judkar dhyaan lagaave,
Dhyaan samay vihval ho jaave.
Kanth ruke bola nahin jaave,
Man buddhi mere maahi samaave.
Lajja bhay aru bisare maan,
Apna rahe na tan ka gyaan.
Aise jo man dhyaan lagaave,
So yogin mein shreshth kahaave.
Jo koi dhyaave nirgun roop,
Poorn brahm aru achal anoop.
Nirakar sab ved bataave,
Man buddhi jahan thaah na paave.
Jiska kabhun na hove naash,
Byaapak sabmein jyon aakaash.
Atal anaadi anandghan,
Jaane birla jogijan.
Aisa kare nirantar dhyaan,
Sabko samjhe ek samaan.
Man indriya apne vash raakhe,
Vishayon ke sukh kabhun na chaakhe.
Sab jeevon ke hit mein rat,
Aisa unka sachcha mat.
Wah bhi mere hi ko paate,
Nishchay parama gati ko jaate.
Phal dono ka ek samaan,
Kintu kathin hai nirgun dhyaan.
Jabtak hai man mein abhimaan,
Tabtak hona mushkil gyaan.
Jinka hai nirgun mein prem,
Unka durghat saadhan nem.
Man tikne ko nahin adhaar,
Isse saadhan kathin apaar.
Sagun brahm ka sugam upaay,
So main tujhko diya bataay.
Yagya daanadi karm apaara,
Mere arpan kar kar saara.
Atal lagaave mera dhyaan,
Samjhe mujhko praan samaan.
Sab duniya se tode preet,
Mujhko samjhe apna meet.
Prem magn ho ati apaar,
Samjhe yeh sansaar asaar.
Jiska man nit mujh mein yaar,
Unse karta main ati pyaar.
Kevat bankar naav chalaun,
Bhav saagar ke paar lagaun.
Yeh hai sabse uttam gyaan,
Isse tu kar mera dhyaan.
Phir hovega mohi samaan,
Yeh kehna mam sachcha jaan.
Jo chaale iske anusaar,
Wah bhi ho bhavsagar paar.

No comments
Post a Comment